Thursday, March 5, 2009

Life @ IWSB

Ye Subah ko late jagna, aur breakfast na karna
Wo bus ke peeche bhagna,
Ab bus mil bhi jaye to kya hai
Wo Assignment ke chakkar me, idhar udhar batakana
Wo copy paste karana,phir bhi time pe submit na karna
Fir assignment pura ho bhi jaye to kya hai
Woh college pahuchna, Wo debt equity parna
Fir bor hoke neend ka aana, par attendance ke samay jag jana
Ab kuch samajh me na bhi aaye to kya hai
Woh srijan ka halla. Wo IWPL ki masti
Dube hue khayalo me dubi hui basti
Wo rural ko jyana, aur bati choka khana
Ab rural project se kuch learning ho bhi jaye to kya hai
Wo Lunch ka aana aur bhuk ka bhag jana
Fir bimtech pe jake wo roal ka khana
Wo canteen ko jana, lekin kuch bhi na pana
Phir yadi lunch kar bhi lo to kya hai
Wo library ko jana, bus entry karke aa jana
Kitabo ko palatna, aur kuch na samajhna
Aub library me jakar so bhi jaye to kya hai
Vo hostel vapas aana, aake so jana
Wo Snacks ko jana, aur aloo ka pana
Ab yadi snacks kar bhi lo to kya hai
Wo assignment ki tension and problem of retention
But faculty ask for attention
Ab attention ho bhi jaye to kya hai
Wo projects ke badal, Wo reports ki andhi
Har Ek Keyboard Ghayal, Har Ek Login Pyaasi
Excel Mein Uljhan, MS word Mein Udaasi
Ab laptop crash ho bhi jayeto kya hai
Wo Recession ka aana, placement ka latak jana
Company ka aana, par project man na bhana
Ab placement ho bhi jaye to kya hai
Wo entrepreneurs ka aana, ethnic dress pahankar jana
Unko sunke wo josh ka aana, per sam tak bagh jana
Ab entrepreneur ban bhi jaye to kya hai
Yeh Document, Yeh Meetings, Yeh Features Ki Duniya,
Yeh Insaan Ke Dushman, Cursors Ki Duniya
Yeh Deadlines Ke Bhooke, Management Ki Duniya;
Yeh manager Agar Ban Bhi Jaaye To Kya Hai
Ye life he hamari thodi tedi lekin pyari
We wish for the prosperity of IWSB community Sari

Written by
Anuj Gaur
Kapil Aggrawal
Recited by Anuj and Kapil at Cultural Eve -Srijan- on March 4th 2009
Also at 

http://anujgaurrishu.blogspot.com/2009/03/life-iwsb.html

No comments:

Post a Comment

What you say?